Happy Birthday meri favourite person! โค๏ธ๐ซ
Main bas tujhe ek baat kehna chahta hoon ki life mein chahe kuch bhi ho, main hamesha tere saath rahunga. Tera support bankar, teri strength bankar. Kabhi tujhe lage ki tere saath koi nahi hai, toh bas yaad rakhna ki main hamesha tere saath khada hoon.
I know, kabhi-kabhi mera kisi baat par overreact karna tujhe achha nahi lagta hoga, aur shayad tujhe lagta ho ki main chhoti-chhoti baaton ko zyada seriously le leta hoon. Lekin sach kahun toh kuch baatein mujhe tere liye itni hurt karti hain ki main apne emotions control nahi kar pata. Mujhe hamesha se teri fikr rahi hai. Main bas tujhe har us cheez se door rakhna chahta hoon jo tujhe hurt kare ya tere chehre ki smile chheen le.
Main hamesha yahi chahta hoon ki tu apne goals par focus kare. Maine tere liye hamesha pray kiya hai ki tu apni life mein kuch achha kare, ek achhi job le aur apne pairon par khadi ho. Tune apni life mein kaafi dukh dekh liye hain, kaafi kuch seh liya hai, lekin ab aur nahi. Ab main tujhe khush, successful aur independent dekhna chahta hoon.
Main chahta hoon ki tu itni strong ban jaaye ki koi tujhe emotionally hurt na kar sake. I know, ye sab karna itna easy nahi hoga, kai baar mushkilein aayengi, lekin mujhe pata hai tu sab kar sakti hai. Bas apne aap par bharosa rakhna aur apne goals se kabhi peeche mat hatna.
Aur ek baat, jis tarah tu apne goals aur apne future ko lekar serious reh sakti hai, waise hi apne decisions aur apne close relationships ka bhi dhyan rakhna. Kabhi aisi galtiyan mat dohrana jo kisi apne ko hurt kar dein. Life mein galtiyan sabse hoti hain, bas unse seekhkar aage badhna.
Meri bas ek hi wish hai ki aane wale waqt mein tere paas khush rehne ki hazaar wajah hon aur tujhe kabhi apni worth kisi ko samjhani na pade.
Aur haan, duniya mein chahe kitne bhi log aa jaayein, tu hamesha meri favourite one rahegi. โค๏ธ
Main hamesha tere saath hoon, tere har achhe-bure waqt mein. Bas tu apna khayal rakh, khush reh aur apne sapne poore kar.
Once again, Happiest Birthday! โค๏ธ๐ซถ
โ Always With You, Rohit ๐ค๐ซ